WHAT IS SHARE MARKET?
what is stock market ? mai bhut kam or asan shabdo me aapko stock market ke bare me batana chahti hu, ke share market kya hai,welcome to what is stock market ?
A stock market , equity market or share market is the aggregation of buyers and sellers of stocks
which represent ownership claims on businesses,these may include securities listed on a public stock exchange
as well as stock that is only traded privately, such as shares of private companies
what is stock market ?
naam me hi jwaab hai,
share , yaani hissa
market , yaani bazaar
jab bhi aap kisi bhi company ke shares khareed lete ho to iska matlab ye hai ki aapne uss company ka hissa le liya
yaa aap uss company ke hisse me bhagidaar ho gaye,
fir chahe aapne ek share liya ho yaa ek lakh shares liye ho.
jis bhi company ke shares aapne liye hue hai ,yaa jis bhi company ke shares aapke paas hai iska matlab
ki uss company ke profit me aapka bhi hissa add ho gaya
aap shares bech kar bhi profit book kar sakte ho
or company dividend ke roop me bhi aapko profit deti hai.
kuch shares aapko bonus ke roop me bhi diye jate hai . kuch shares split bhi kar diye jate hai ,E.T.C…….
maine is business ko khud ke liye kyou chuna
maine is business ko khud ke liye is liye chuna
kyouke is business me mujhe kisi se milne julne ki koi jarurat nahi parti
or na hi mujhe ghar se baher jane ki jarurat parti hai,
mai 31 saal ki ek simple house wife or ek business women hu.
mujhe stock market ki jo bhi thodi bhut jankari hai
wo mai apne blog ke jariye simple or asan tarike se apko batana chahti hu.
meri zindagi ka ek usool hai ki na hraam khao na kisi ko hraam khane ka rasta dikhao .shuru me mushkilen bhut aati hai
par ek baar jab aap stock market seekh jate ho na to bada maza aata hai kaam karne me
mai apne blog ko bhut lamba nahi banana chahti
mai bhut kam alfaaz me apko samjhana chahti hu jisse ki aapko mere blogs boring na lge
MERE BLOG LIKHNE KA MAKSAD
mera maksad sirf aap logo ko paid trainer se bachana hai .
jo aap logo se high fees lekar sirf moving average ya golden gate sikhate hai ,
jinka maksad sirf aap logo se paisa nochna hai.
contact me
MAIL – sharemarketsanam@gmail.com
what is stock market /share market kya hai?
naam me hi jwaab hai,
share , yaani hissa
market , yaani bazaar
jab bhi aap kisi bhi company ke shares khareed lete ho to iska matlab ye hai ki aapne uss company ka hissa le liya
yaa aap uss company ke hisse me bhagidaar ho gaye,
fir chahe aapne ek share liya ho yaa ek lakh shares liye ho.
jis bhi company ke shares aapne liye hue hai ,yaa jis bhi company ke shares aapke paas hai iska matlab
ki uss company ke profit me aapka bhi hissa add ho gaya
aap shares bech kar bhi profit book kar sakte ho
or company dividend ke roop me bhi aapko profit deti hai.
kuch shares aapko bonus ke roop me bhi diye jate hai . kuch shares split bhi kar diye jate hai ,E.T.C……..
TIPS
mai aapko ek salah dena chahti hu ki jab bhi aap shares kharide to soch samajh kar hi kharide
or achi company ke shares hi kharide.
ye n ho ki kam paiso ko jyadah banane ke liye jo
paise aapke paas hai usay bhi aap KHO DE
har business ko soch samajh kar karna chahiye
fir chahe wo ek choti si samose ki redhi ho yaa stock market
or shuru ke sirf do saal aap intraday se door rahiye.
mai apne agle blog me aapko intraday yani day trading ke bare me bataugi.
jisme paise to bhut hai par ache se seekhne ke baad
mai aapko apne aanay wale har blog me bhut hi asan lafzo me share market ki puri jaankari
or news bhi dungi
https://sharemarketsanam.blogspot.com/?m=1
AAP MERE YE BLOG BHI ZARUR PADHE
4..OPTION CHAIN ANALYSIS PART 2 IN HINDI.
THANK YOU
Nice
ReplyDeletePapa mean numan hun aap aacha kiya. Thanks. For nice
DeletePapa aap mara reply kajawab kiun nahin diya tha
DeleteKnowledge in short n easy words I like this way of ur thinkings keep it up 👍
ReplyDelete