How do you determine range bound?
What is range bound?
How do you know if a market is range bound?
VOLUME AND RANGE BOUND ANALYSIS me mai apko ye batane wali hu ke hame range bound stocks me kaise trade lena hai ,or price or volume ka kya Talmel hai .
How do you know if a market is range bound?
VOLUME AND RANGE BOUND ANALYSIS
NO 1] KISI BHI STOCKS KA PRICE AGAR UPAR JAA RAHA HAI ,OR VOLUME BHI
UPAR HI JAA RAHA HAI,
ISKA MATLAM WO STOCK YAA INDEX EK STRONG UPTRED ME HAI. EK MAJBUT UPTREND ME HAI
MATLAB ki stock ka UPAR JAAYGA OR WO BHI TEZI KE SAATH
NO 2] KISI BHI STOCKS KA PRICE AGAR UPAR HAI OR VOLUME NiCHE HAI,TO ISKA MATLAB YE HAI ,
Ki WO STOCKS EK WEEK UPTREND ME HAI , MATLAB WO STOCK UPAR TO JAYGA LEKIN DHiRE DHiRE
NO 3] KISI BHI STOCK KA PRICE AGAR NiCHE KI TARAF JA RAHA HAI, OR VOLUME UPAR KI TARAF JA RAHA HAI TO ISKA MATLAB YE HAI KE WO STOCK EK STRONG DOWNTREND ME HAI MATLAB stock ka price NiCHE KI TARAF JAYGA OR BHUT TEZI SE JAYGA.
NO 4] AGAR KISI BHI STOCK KA PRICE NiCHE KI TARAF JA RAHA HAI, OR VOLUME BHI NiCHE KI TARAF HI JA RAHA HAI, TO ISKA MATLAB YE HAI KE WO STOCK EK WEEK DOWNTREND ME HAI YANI DHERE DHERE NEECHE JAAYGA
RANGE BOUND STOCK
RANGE BOUND STOCKS ME STOCK KA PRICE EK BOX KE ANDER HI UPAR NECHE KARTA REHTA HAI .JAISA KE AAP PITCHER ME DEKH SAKTE HAI
IS KISAM KE STOCKS ME AGAR HAME PAISA KAMANA HAI TO HAME YE DEKHNA HOGA KE STOCK NE APNA SUPPORT KISKO BANA RAKHA HAI OR RESISTANCE KISKO BANA RAKHA HAI .MATLAB STOCK AGAR NECHE JATA HAI TO KAHA TAK JATA HAI, OR UPAR JATA HAI TO BHI KAHA TAK JATA HAI
JAB HAM CHART KO CHOTA KAR KE DEKHENGE ,TO BHUT HI ASANI SE HAM SAMAJH JAYGEN KE STOCK KAHA SE KAHA TAK KE RANGE BOUND ME HAI, TO JAHA NiCHE USS STOCK NE APNA SUPPORT BANA RAKHA HAI WAHA PAR HAMKO BUY KARNA HAI OR ,UPAR JAHA PAR STOCK NE APNA RESISTANCE BANA RAKHA HAI WAHA PAR HAMKO SELL KAR DENA HAI.
HAR BAAR SUPPORT ME BUY KARNA HAI OR RESISTANCE ME APNA MAAL BECH DENA HAI .
Kuch TIPS
OR JAB YE 40 KE MOVING AVERAGE KE UPAR JANE LAGE OR DELIVERY PERCENTAGE BHI BADHNE LAGE TO ISKA MATLAB KE STOCK NE BREAK OUT DE DIYA HAI,or
FAKE BREAK OUT ME VOLUME NAHI HOTA .
MERE YE BLOGS BHI zarur PADHE
|
mere blog ko share jarur kare,or agar mere samjhane ka tarika aapko acha nahi laga to comment kar ke jarur bole mere aane wale har blog me mai bhut asaan or simple tarike se aapko stock market sikhaugi, wo har tools indicator technical analysis bataugi ji mujhe aatein hai. or log jiski fees bhut lete hai |
THANK YOU
Comments
Post a Comment
sharemarketsanam@gmail.com