bearish candlestick sandwich pattern normally it should be a signal of reversal of the current trend .you can find it in the variants bullish and bearish
what is bearish candlestick sandwich pattern
A bearish reversal pattern with two green bodies surrounding a red body.
the closing price of the two white bodies must be equal A support prices is apparent
and the opportunity for price to reversal is quit good …
chalo hindi me samajhte hai
ye jo stick sandwich pattern hota hai ye ek tarh ka reversal pattern hai ye trend ko ghuma deta hai
ye dekhne me hi sandwich ki tarh lagta hai, aapko jab stock market ka chart samajh me aane lagega
To aap bhi apne lap-top ya mobile ke screen par chart ko dekhte hi samajh jayenge ki ye sandwich pattern hai
bearish \ pattern dekhne me kaisa lagta hai
niche diye gaye pitcher me jaise ki aap dekh rahe hai ye dekhne me lagbhag isi type ka lagta hai
please aap log chart apne desktop or mobile me hi dekhe stocks me bearish candlestick sandwich pattern ko dhundo
maan lete hai ki ek up trend chall raha thaa ,to jahir si baat hai ki pahli candle green hi banegi
uske baad uske just bagal me agle hi din ek red candle banegi,
par aapko dekhne me ye engulfing candle ki tarh lagega or shayad aap
ye dekh kar dhoka bhi kha sakte hai ,par agar engulfing bhi bana
to bhi hame sell hamesha red candle me hi karna hai third day
yeha par agar fir se ek green candle banti hai ,to ye wala pattern ek sandwich ki tarh kaam karega
ab agle din fir se ek red candle banegi ,isi tarh se green -red, green-red karke ye 3 ya 4 candle banegi
or ye charo candle lagbhag ek size ki hi hogi
bs ye dekhne me kuch choti badi lagegi or ye candles 3 bhi ho sakti hai or 4 ya 5 bhi ho sakti hai
ab hamara sandwich candlestick pattern ban chuka
bullish stick sandwich pattern me TRADE ACTIVATE KAB HONA CHAHIYE
JAB hamara sandwich pattern complete ho jata hai to agle din red candle me kahi par bhi hamko
uss stock ko sell kar lena hai lekin hamko sara din pahle ye dekhna hoga ki kahi ye red candle
intraday ke doran hi green candle me to nahi badal gyee ,agar wo candle red me open ho ker red me hi sara din rehti hai
to hame turant hi uss stock ko sell ya short kar lena chahiye
APNA STOP-LOSS OR PROFIT KITNA HONA CHAHIYE
stick sandwich pattern me 3 , 4 , 5 YA fir jitne bhi candles bante hai hame unn candles ke high ka hi stop-loss rakhna chahiye
usse upar agar stock jane lage to fir hame apna sauda kaat dena chahiye kyouke hame stock-market me
discipline se hi kaam karna hoga agar hamara stop-loss hit ho gaya to hame
ab uss stock ko chor dena chahye kyouke apne paas stocks ki koi bhi kami nahi….[ kyou thik kaha na]
jyadah tar jaise hi ham jo bhi stocks ko sell kar lete hai to ab wo stock drama karne lagta hai wo stocks bhut asani se niche nahi jata
ya to wo ek jagh kuch din khada rehta hai ya baar baar hame drane ki koshish karta hai ki wo hamara stop-loss
kaat dega lekin hame uss stock ko tab tak nahi chorna jab tak ke wo hamara stop-loss kaat na de
bearish candlestick sandwich pattern mePROFIT KI BAAT KAR LETE HAI
hamara target kitna bhi ho sakta hai ye ham par hai ki ham kitna pacha sakte hai
ya kitna profit book kar sakte hai
par jab tak stock niche ki taraf jaa raha hai hamko ache se uss stock par ride karna chahiye
ye nahi ki hame thora sa paisa dikha nahi ki ham profit book karke uss stock se baher ho gaye
jab itni mehnat karke souda uthaya hi hai to profit bhi ache se lo,
kyouke agar ye niche ki taraf jaa raha hai
To bhut mumkin hai ki ye waha tak ek baar jarur jayga jaha se pichli bar break out diya tha
jab waha tak chala jay to waha par ya uske kuch pahle hi aap apne soude se baher nikal jao
jitna bhi parofit apko aa raha hai usey aap book kar lo or apna maal kaat do
LEKIN ek baat ka dhiyan zarur rakho
AGAR stock ke waha tak jane se pahle hi koi reversal pattern banta hai or uski confirmation bhi ho jati hai
to aap turant apna maal kaat do chaahe aapko jitna bhi paisa aa raha ho
OR aap candlestick pattern ke saath saath option chain bhi zarur seeko kyouke aaj ke dor me
bina option chain analysis ke aap stock market se paise bilkul bhi nahi bana sakte
stock market ke sab baatein seekhane le kiye munil singlani or
,sunderOR kipul paushikkk 50 hazar se lekar 2/2 lakh tak ki fees lete hai
.aap mere har blog ko https://sharemarketsanam.blogspot.com/ par free me visit kar sakte hai
AAP MERE YE BLOG BHI ZARUR PADHE
4..OPTION CHAIN ANALYSIS PART 2 IN HINDI.
.SHARE INVESTMENT RECOMMENDATIONS
.TREND KITNE TYPE KE HOTE HAI?
.VOLUME AND RANGE BOUND ANALYSIS
.BULLISH & BEARISH ENGULFING
.BULLISH /BEARISH HARAMI PATTERN
.WHAT IS PIERCING LINE PATTERN ?
SEBI circular on new margin rules
https://sharemarketsanam.blogspot.com/2020/06/stock-market-me-trend-kitne-type-ke.html
THANK YOU
Comments
Post a Comment
sharemarketsanam@gmail.com