How do you trade Evening Star candlestick pattern?
Evening star candlestick pattern it is a bearish candlestick pattern consisting of three candles a large white candle a small candle and a red candle ,
WHAT is Evening star candlestick pattern ?
How do you trade Evening Star candlestick pattern? |
Raat hone se pahle jo stars hame dikhte hai usey evening star kahte hai
iska matlab ye hai ki ab suraj duub chuka hai,kuch hi palo me andhera hone hi wala hai [raat hone wali hai]
trend reversal me jyadah tar aapne enening star pattern ko bhi jarur dekha hoga
jyadah tar jab bhi trend revers hota hai to morning star ya evening star ka pattern zarur banta hai
YE PATTERN CHART ME KAISE BANTA HAI
MAAN LETE HAI KI EK Trend UPAR KA CHALL RAHA THA,or last wali candle jahir si baat hai green hi hogij
jaise ki aap niche photo me dekh sakte hai

uske baad ek choti si candle banti hai wo red bhi ho sakti hai or green bhi ho sakti hai ,ya doji bhi bana sakti hai or jyadah tar wo gap UP open hi hoti hai
iske baad ek red candle banti hai or wo candle kuch badi hoti hai,
kahne ka matlab ye hai ki ek up trend chall raha tha
fir ek choti si candle bani or agle din ek red candle bani
to ye teen candle ka sat complete ho gaya jab ye teen candle ka set hame mil jata hai
iska matlab hai ki ye evening star formation complete ho jati hai
Evening star candlestick pattern me hame sell kab karna hai ?
AB hamko fourth day is par action lena hai, par hamko short ya sell hamesha ki tarh red candle me hi karna hai
jab enening star ka set complete ho jay to hame ye dekhna hoga ki fourth day candle kis colour ki banti hai
agar candle green colour ki ban jay to hame bilkul bhi sell nahi karna hai
ab hame fifth dey dekhna hai ki candle kis colour ki banti hai kyouke hame sell puri tarh se confirm ho ke hi karna hai
stock market me kaam karna hai to hamesha apne analysis ko pakka rakho
agar candle green colour ki ban jay to hame sell nahi karna hai lekin
agar candle red colour ki banti hai to hame bina time wast kiye short kar dena hai
yani uss stock ko sell kar lena hai
EVENING star strategy ME STOP LOSS OR PROFIT KITNA HONA CHAHIYE
niche wale pattern ko aap ache se dekho, ekdamm dhiyan se

aap red wali candle jo ki green candle ke bagal me hai uske high ka stop loss rakh sakte hai
jaha par stop-loss likha hua bhi hai jise aap doji bhi kah sakte hai wo sabse behtar aapka stop-loss hoga
ho sakta hai ki jo chart mai aapko dikha rahi hu usme aapko bhut ache se samajh me na aay
Lekin jab aap evening star ya morning star ko apne laptop ya mobile me dekhenge to aap bhut ache se samajh jayenge.
kyouke tajurba bhi koi chiz hota hai ..
[hai ki nahi] jo ki waqt ke saath saath aapko khud hi mil jati hai ye chij aisi hai ki
aapko koi gift me ya fees le kar bhi nahi de sakta to aap bajay intraday karne ke har din sirf chart dekho
kam se kam ek ghanta to dekho hi lekin mingalani sahab ki baat maan kar
khali chart basis par na sauda uthana hai or na hi sauda bechna hai option chain analysis bhi koi chiz hoti hai
kam se kam option analysis ko bhi saath le kar zarur chalna, maine option analysis ke upar teen blogs likhe hai jise aap zarur padhe
mere ye blogs bhi padhe
1-https://sharemarketsanam.blogspot.com/2020/10/triple-bottom-pattern.html
2-https://sharemarketsanam.blogspot.com/2020/03/kya-corona-virus-azan-dene-se-ya-thaali.html
Ise mine bhut hi asan karke likha hai
AAPKA TARGET KITNA HONA CHAHIYE
hamara target kitna bhi ho sakta hai ye ham par hai ki ham kitna pacha sakte hai ya kitna profit book kar sakte hai
par jab tak stock NICHE ki taraf jaa raha hai hamko ache se ride karna chahiye
ye nahi ki hame thora sa paisa dikha nahi ki ham profit book karke uss stock se baher ho gaye
jab itni mehnat karke souda uthaya hi hai to profit bhi ache se lo, kyouke agar ye niche ki taraf jaa raha hai
To bhut mumkin hai ki ye waha tak jaur jayga jaha se pichli bar is stock ne break-out diya tha
jab waha tak chala jay ya uske kuch pahle hi ap soude se baher nikal jao
jitna bhi parofit apko aa raha hai usey aap book kar lo or apna sauda kaat do
LEKIN ek baat ka khiyal hamesha zarur rakhna
AGAR stock ke waha tak jane se pahle hi koi reversal pattern banta hai
or uski confirmation bhi ho jati hai to aap turant apna maal kaat do chaahe aapko jitna bhi paisa aa raha ho
or morning star ho ya evening star ho beech wali jo candle hoti hai agar wo ek ki bajay 2 ya ir 3 bhi ho
to bhi ye morning star ya evening star ki category me hi aati hai aapko ye sochne ki koi bhi zarurat nahi hai ki ab ye kon sa wala pattern ban gaya
mere blog padhne ke liye bhut bhut thank you
Comments
Post a Comment
sharemarketsanam@gmail.com