What is the morning star pattern?
morning star pattern strategy ,is a visual pattern consisting of three candlesticks that is interpreted as a bullish sign by technical analysts .
A morning star forms following a downward trend and it indicates the start of an upward climb. It is a sign of a reversal in the previous price trend.
lets read
what is morning star pattern strategy
subeh hone se pahle jo stars hame dikhte hai usey morning star kahte hai
iska matlab ye hai ki ab suraj nikalne hi wala hai,kuch hi palo me roshni faine wali hai
trend reversal me jyadah tar aapne morning star ko jarur dekha hoga
jyadah tar jab bhi trend revers hota hai to morning star ya evening star ka pattern zarur banta hai.
YE PATTERN CHART ME KAISE BANTI HAi ?
MAAN LETE HAI KI EK Trend NICHE KA CHALL RAHA THA,or last wali candle jahir si baat hai red hi hogi
uske baad ek choti si candle banti hai wo red bhi ho sakti hai or green bhi ho sakti hai ,ya doji bhi bana sakti hai or jyadah tar wo gap down open hi hoti hai
iske baad ek green candle banti hai or wo candle kuch badi hoti hai,
kahne ka matlab ye hai ki ek down trend chall raha tha, fir ek choti si candle bani or agle din ek green candle bani
to ye teen candle ka sat complete ho gaya jab ye teen candle ka set hame mil jata hai, iska matlab hai ki ye morning star formation complete ho jati hai
morning star pattern strategy me hame buy kab karna hai
AB hamko fourth day is par action lena hai par hamko buy hamesha ki tarh green candle me hi karna hai
jab morning star ka set complete ho jay to hame ye dekhna hoga ki fourth day candle kis colour ki banti hai
agar candle green colour ki ban jay to hame bina time wast kiye .uss stock ko buy kar lena hai ..
morning star strategy ME STOP LOSS OR PROFIT KITNA HONA CHAHIYE
upar wale pattern ko aap ache se dekho, ekdamm dhiyan se
ya to aap green wali candle jo ki red candle ke bagal me hai uske low ka bhi stop loss rakh sakte hai
lekin sabse behtar aapka jo stop-loss hoga wo morning-star ke beech wali jo choti si candle hai
jise aap doji bhi kah sakte hai wo sabse behtar aapka stop-loss hoga
AAPKA TARGET KITNA HONA CHAHIYE
hamara target kitna bhi ho sakta hai ye ham par hai ki ham kitna pacha sakte hai ya kitna profit book kar sakte hai
par jab tak stock upar ki taraf jaa raha hai hamko ache se ride karna chahiye
ye nahi ki hame thora sa paisa dikha nahi ki ham profit book karke uss stock se baher ho gaye
jab itni mehnat karke souda uthaya hi hai to profit bhi ache se lo, kyouke agar ye upar ki taraf jaa raha hai
To bhut mumkin hai ki ye waha tak jaur jayga jaha se pichli bar gira tha
jab waha tak chala jay ya uske kuch pahle hi ap soude se baher nikal jao
jitna bhi parofit apko aa raha hai usey aap book kar lo or apna maal kaat do
LEKIN ek baat ka dhiyan zarur rakho
AGAR stock ke waha tak jane se pahle hi koi reversal pattern banta hai or uski confirmation bhi ho jati hai
to aap turant apna maal kaat do chaahe aapko jitna bhi paisa aa raha ho
AAP MERE YE BLOG BHI ZARUR PADHE
1-/ https://sharemarketsanam.blogspot.com/2020/08/double-bottom-ya-w-pattern.html
2-/ https://sharemarketsanam.blogspot.com/2020/02/what-is-share-market-share-market-kya.html
3-/ https://sharemarketsanam.blogspot.com/2020/03/kya-corona-virus-azan-dene-se-ya-thaali.html
https://sharemarketsanam.blogspot.com/2020/06/stock-market-me-trend-kitne-type-ke.html
Agar mere samjhane ka tarika aapko thora sa bhi acha lage to to mere blog ko share jarur kare,
padhne ka shukriya
Comments
Post a Comment
sharemarketsanam@gmail.com